Wazifa For Shadi Wazaif For Marriage Dua Islamic Wazaif In Urdu

Islamic Wazaif For Shadi Wazaif For Marriage
Wazifa No 1: 
 Jis kisi ki larki ya larke kanware baithay hon, samaan-e-jaheez ya deegar samaan na ho aur kahin se paigham bhi na ata ho tou mandrajjah zail tariqah se ye Ism-e-Azam parhain.
Rozana baad namaz-e-isha nihayat tawajjah, aur yaqeen ke sath sirf 11 din (thursday se start kar k sunday tak) is tarah parhain:
Darood Shareef : 100 Times
Ya Mughni : 11000 Times
Darood Shareef : 100 Times

Wazifa sunday ko khatam karain aur dekhain pardah ghaib se kya zahir hota hai. InshAllah bohat jald shadi ke asbaab paida ho jayain gey.

Wazifa No 2 :
Namaz-e-fajar ke baad, suraj talue hone k baad bawaqat namaz-eishraaq do rakat namaz nafal is niyat se parhain keh Allah is larke ya larki ka acha rishta mila de, baad az salaam awal-o-akhir gyarah gyarah (11) martabah darood shareef parh kar aik so martabah
Ya Latifo
parhain. InshAllah bohat jald rishta teh ho jaye ga.

Note: